शनिवार, 5 अगस्त 2017

Mahilao ki chotiya katne ke piche kya raaz hai

Shuruat kaha se hui ?
Mahilao ki chotiya katne ki shuruat Rajasthan ke ek gaon se hui thi jis aurat ki choti kati thi wah vah apne parivar k saath apne makan ki chhat par so rahi thi kafi der raat tak jagte rahe lekin jab lagbhag 12 baj gaye to vah pura parivar so gaya. Subah kisi ne use bataya ki uski chitiya kati hui hai to wah ek dam shock ho gayi usne dekha to wastav me choti kati hui thi. Fir kya tha uski tabiyat bigad gayi aur jab hosh ane par usse puchha gaya to usne kewal yahi kaha ki use kewal sir me dard hua tha baad me kya hua use kuchh pata nhi ?
Jab baad me 2-3 aurato ki chotiya aur kati to ye ghatna aurato ki dil me ek dahshat ka rup lene lagi.
Kaha kaha hai Asar ?
Dheere dheere ye ghatna aas pass ke rajyo me bhi hone lagi ab to aurato ki raat ki neend hi ud gayi thi lekin ye kya rukne wali thi. Subah hote hi aas paas ke ilako se pata chalta ki raat 2 ki 3 ki 4 ki aur na jaane kitno ki chotiya kat gayi.
Ye ghatna Delhi, Uttar pradesh, Hariyana me aam ho gayi.
Ab sunne me aa raha hai ki aurato ki chotiya katne ke baad ab mardo ke ling ka number lag chuka hai.
Waise mujhe ab tak koi confirmation case sunne me nahi aya.

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें